Majbooriyuin Kay Naam Pe
Majbooriyuin Kay Naam Pe Lut-ti Hain Hr Gharri, Hawaa Ki Betiyoun Kay Muqaddar bhi Ajeeb Hain.!
Majbooriyuin Kay Naam Pe Lut-ti Hain Hr Gharri, Hawaa Ki Betiyoun Kay Muqaddar bhi Ajeeb Hain.!
Humain To Piyaar Kay Do Pal Bhi Naseeb Na Huay, Aur BadNaam Aisay Huay Jesay Ishq K Badshah Hm Hi Thay.!
Aaj Kisi Ne Dil Torra To Hum Ko Jesay Dhiyaan Aaya Jiss Ka Dil Hum Ne torra Tha, Woh Jaanay Kesa Ho Ga..!
Tujh Se Mohabbat Teri Aukaat Se Ziyada Ki Thi, Ab Baat Nafrat Ki Ha Soch Tera Kia Ho Ga..!
Sara Karishma Mohabbat Ka Ha Warna, Pathar Ki Diwaaron Ko Kon Taaj Mahal Kehta Ha.!
Tum Aaao gay to phoolon ki barsat karen gay, Mousam k farishto'n say meri baaat hui hai..!
Hum Ne Maana Kay Taghaful Na Kro Gay Lakin, Khaak Ho Jaayein Ge Hum Tum Ko Khabar Honay Tak.!
Mujh pe pathar uchaalnay walay, Aik baaqi ha tere seenay main.!
Qudrat Kay Is Haseen Manzar Main, Mere Yaar Ka Bhi Shumaar Hota Ha.!
Kon Kehta Ha Kay Khuda Nazar Nahi Aata, Aik Wohi To Nazar Aata Ha Jab Koi Nazar Nahi Aata.!
Mohabbat Karni Ha To Khuda Se Karo Faraz, Matti K Khilono Se Kabhi Wafa Nahi Milti.!
Tarq-e-Taluq Sey Kiya Hua Haasil, Tab Bhi Chahtay Thay Ab Bhi Chahtay Hain.!
Kisi Ghareeb Qabeelay Ki Aabru Ki Trha, Humara Dard Kisi Dard Main Shumar Nahi..!
Samajh Kr Raham Dil Tum Ko Diya Tha Hum Ne Dil Apna, Magar Tum To Bala Niklay, Ghazab Niklay, Sitam Niklay.!
Kya Tamasha Ho Kay !!! Khamosh Khari Ho Duniya, Main chalun hashar main kehtay hue janaan Janaan.!