Kuch Mohabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko
Kuch Mohabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko, Dil Jo Toota To Nashaay Se Mohbbat Ho Gayi..!
Kuch Mohabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko, Dil Jo Toota To Nashaay Se Mohbbat Ho Gayi..!
Raat Dehleez Pe Bethi Rahin Aankhain Meri, Tum Na Aaye To Koi Khuwab Hi Bheja Hota.!
Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan, Dil Tootnay Kay Bad TAmashay Boht Huay.!
Kuch To Bata Udaas Raaton Ki Tanha Chaandni, Bhoolnay Waalon Ko Kis Tarha Yaaad Aaaon..!
Aaj Kisi Ne Dil Torra To Hum Ko Jesay Dhiyaan Aaya Jiss Ka Dil Hum Ne torra Tha, Woh Jaanay Kesa Ho Ga..!
Shidat-e-Gham Main Kami Na Aayi Zara Bhi, Dard Dard Hi Raha Ulta Bhi Likha Seedha Bhi.!
Dil Ki Khamoshi Se Saanson Kay Thehr Jaanay Tak, Yaad Aaye GA Mujhay Wo Shakhs, Mar Janay Tak.!
Sabab ronay ka wo poochain to itna kehna qaasid, Mujhay hansna nahi aata, Jahan pr tm nahi hotay..!
Mujh pe pathar uchaalnay walay, Aik baaqi ha tere seenay main.!
Jaanay Waalay Manzilon ko jaatay jaatay keh gaye, Tum raastay ki dhool thay, So raastay main reh gaye.!
Tum Ne Chorra Jab Se Aansoo Ponchna, Hum Ko Ronay Ka Mazza Aata Nahi..!
Kabi Khuwahishon Ne Loota Kabi Be-Basi Ne Mara, GiLa Mout Say Nahi Ha Hamain Zindagi Ney Maara..!
Kisi Ghareeb Qabeelay Ki Aabru Ki Trha, Humara Dard Kisi Dard Main Shumar Nahi..!
Samajh Kr Raham Dil Tum Ko Diya Tha Hum Ne Dil Apna, Magar Tum To Bala Niklay, Ghazab Niklay, Sitam Niklay.!
Ab Usay Roz Na Sochun To Badan Toot-ta Ha Faraz, Ik Umer Ho Gayi Us Ki Yaad Ka Nasha Kartay Kartay.!