Khuda to milta hai...
Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta, Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine.!
Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta, Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine.!
Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Insha Ghaneemat hai k hum soorat yahan do chaar bethay hain.!
Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat, Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan.!
Gulistanon pe hi naheen moqoof, Junglon me bhi phool khilte hain.!
Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye, Tun milay to main tujhe shair sunaaon apne..!
Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey, Is qadar toot kay chaaho mujhey pagal kar do...!
Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz, Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya.!
Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil, Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey.!
Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai, Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai.! ( Shajar:Tree)(Aaib:Weakness)
Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla, Shairon k intekhab nay ruswa kia mujhy.!
Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib, Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bujhayy.!
Kia Zaroori Ha K Hm Haar K Jeetien Tabish Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai..!
Main khud pehel karun ya udhar se ho ibtidaa, Barsoun guzar gaye hain yehi sochtey huye..!
Yeh kafi hai ke hum dushman nahin hain, Wafaadari ka daava* kyon karain hum..! (daava;claim)
Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel, Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain.!
Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo, Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge..! Ibn e Insha
Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan, Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan.!
Khuda ki shaan wo mera tarrapna dil lagi samjhe, Kissi ki jaaan jaati hai, kisi ka dil behelta hai..!